Wednesday, February 22, 2012

Zindagi Ki Uljhan




Zindagi poochti hai mujhse kyun udaas hai tu…
Kya hai vo baat jo itna hairaan hai tu….
Zara muskurane me kya jayega tera…
Kyun hai ki is kadar pareshaan hai tu..!!

Sunke Zindagi ki ye uljhan… main kuch is tarah muskuraya…
Aur kaha – Zindagi kya hai aisa jo tujhse hai chip paya…!!

Tu jaanti hai kyun udaas hun main…
tu pahchanti hai kyun is kadar pareshaan hun main..!!

E- zindagi - Tere hi gumon ka bojh main roj utha raha hun…
Zinda to hun lekin har pal thoda marta ja raha hun..!!

Tune diya hi kya hai mujhe in zaakhmon ke siva….
Jise bhi chaha zindagi me pana…. usi ko kar diya humse juda…!!

Ab na koi khushi hai ..na koi gum…
Na roti hain ye aankhe na hanste hain hum…!!

Bas gujar raha hai ab waqt kisi tarah …
Na umeed hai Zindagi tujhse koi humko … Na koi Shikayat hai..
Jee rahe hain kisi ki yaadon me bas yahi ab humari ibadat hai…!!

- Parul Bhatnagar (22-Feb-12)


1 comment: