Thursday, August 19, 2010





Mere dil ki Khamoshi hai jaise koi lambi raat...
Har waqt mujhe yaad aati hai sirf teri yaad...!!
Bhulun bhi to kaise koi sapna to nahi....
Zamane me haal puchne vale to hain bhut...
par unme ab koi apna to nahi...!!
Chup ho jaye sara shahar chahe....
mere zahan ka shor ab rukta hi nahi...!!
Zindagi me meri dhoop bhut hai shayad...
Tabhi aankhon se barsaat ka mausam hat ta hi nahi...!!
Kahan dhundhun ab.... aur kya sametun ...
Toota to tha dil...par koi awaaj thi nahi...!!
Tukde teri yaadon ke sambhaal bhi lun to kya...
Sach kahte hain log...
jo chala jata hai...fir laut kar kabhi aata nahi..!!
Main bhi hun gumshuda.... Manzilen bhi laapata hain...
Teri judaai Ka dil me dard aaj bhi bepanaah hai...............!!

- Parul Bhatnagar ( 19-Aug-10)



Monday, April 12, 2010




jo gire hain toot ke shaakh se......unse poocho bichhadna hota kya hai...
Toote hain jinke khwaab kaanch ki tarah... unse poocho Bikharna hota kya hai....
Jo roye hain raat bhar kisi ki yaadon se lipatkar.... unse poocho tadapna hota kya hai....
Jo Zinda hain kisi ke laut aane ki aas pe..... unse poocho ki intezaar hota kya hai....!!

jo chupp hain sadiyon se sannate ki tarah... unse poocho Khamoshi hoti kya hai....
Saaya bhi jinke sath nahi ... unse poocho tanhai hoti kya hai.....
Rishton ka naam sunke jo ro pade... unse poocho Vishwaas hota kya hai....
jo dard me bhi muskura de uski khushi dekh ke... usse poocho mohabbat hoti kya hai...!!

- Parul Bhatnagar ( 12-Apr-10)

Monday, March 1, 2010

Aakhiri Safar …


Zindagi tune kyun sath diya mera jab ek din mooh modna hi tha…
Main khush tha un andheron me akela kahin ..
Tune daaman thama hi kyun jab ek din sath chhodna hi tha….!!
Rona chahun tab bhi ab aansu aate nahi…
Hansna chahun tab bhi lab muskurate nahi….
Main chup khada hun teri raahon me…
Tune khush hona sikhaya hi kyun jab ek din dil todna hi tha…!!

Main tadap raha hun ek pyase panchi ki tarah….
toote sheeshe ki tarah bikhre hain sab sapne.. sab umeeden …
Main khud ko dhundh raha hun unhi tukadon me…..
Khud ko pahchaan nahi pa raha main..itna zakhmi hai wajood mera…
Teri yaadon me bhoola baitha hun khud ko…
bas karta hun subah sham intezaar tera….

Chup si zindagi hai meri… gum sab raaste hain…
Khud ka kuch pata nahi…. Bas yaad teri baaten hain….
Andhera hai har jagah…. Sannate me kahin kho gaye tere sab vaade hain…
Tu dekh ke mera haal ro padega….
Main laash hun ek benaam aur kuch sisakti saanso ki awaajen hain…!!

By - Parul Bhatnagar (1 Mar 10)

Saturday, January 16, 2010

Anjaane log the… Anjaane raaste…




Anjaane log the… Anjaane raaste…
Sochta hun ..jee raha hun.. jane kiske vaaste …!!

Sab purane chehron par naye naqaab hain…
Khud ko dhund pana bhi nahi yahan asaan hai…!!

Kaun tha…kyun vo mere sath tha…..
Ye koi sawaal nahi … meri uljhi zindaki ka ek ajeeb jawaab hai…!!

Pahchan ne me bhool hui…jaanne me der lagi.. aur Samjhne me umar gujari…
Par vo Jawaab ..aaj bhi mere liye unsuljha Sawaal hai..!!

Kai manjar gujre… waqt badla… kai rishtey badle…
Par Dard aaj bhi dil ke kisi kone me jawaan hai…!!

Saansen rukti hain…. Annkhen Chhalakti hain….
Jab sochta hun main tere bare me…
hun Lachaar main…. Kuch nahi mere bas mein…
Majhdhaar me rahegi meri kashti… Nahi pahunchegi kabhi kinare pe…!!

Anjaane log the… Anjaane raaste…
Sochta hun ..jee raha hun.. jane kiske vaaste …!!


- Parul Bhatnagar ( 16 January 2010)