Wednesday, May 21, 2014

“Darr lagta hai…”





Rone se nahi ab Dil… hansne se darta hai…!!
Kisi ko khone se nahi….. Dil uske laut aane se darta hai….!!
Tanhaaiyon ki to aadat hai… Humko too mahfilon ki Bheed se darr lagta hai…!!
Raat ki khaamoshiyon me bhi sunten hai uski baaten hum…. Itne sannate me koi awaaj na dede …ki darr lagta hai..!!
Vo pyaar tha mera ki jisne itne zakham diye… Un zakhmon pe koi marham na laga jaye darr lagta hai…!!
Tere jane ka ghum nahi humko….dil ko ab is dard ke bichadd jane se darr lagta hai..!!
Ghum nahi ki koi mila nahi is jahan me apna….ye mera saya bhi ab sath na chhod jaye ..is baat se darr lagta hai..!!
Kisi ne toda tha bahut zor se gira kar…. Un tukadon ko koi aakar samet na le….ke Darr lagta hai…!!

- Parul Bharnagar ( oct 12 -09)

Ab jala bhi dalo....

Ab jala bhi dalo.....


Lash hun mainab jala bhi dalo
Yahi aakhri rasam bachi hai use nibha dalo….!!
Na honge hum fir…na humari yaadein….
Vo sare lamhe..sare manjar aaj meri rakh me mila dalo….!!
Maar to diya tha bhut pahle zindagi ne humko…
Aaj mere sapno , meri khwahishon ko bhi mere sang jala dalo….!!
Ab yahi aakhri rasam bachi hai use nibha dalo……!!


By – Parul Bhatnagar

Nishaan abhi baki hai...


Tu Dard hai....  tu Sakoon bhi hai..
Ab Meri har marj ki Dawa  tu hi hai...
tujhse juda hua to marna behtar...
Ab mere vajood ki Vajah  tu hi hai...!!

Tu hai in saanso me  ... Dhadkan bhi tu hi hai...!!
Tu Dost hai...  par bewafa bhi tu hi hai..!!
jitni jarurat mujhe teri hai aaj...  doori bhi dono me utni hai.!!
Dil to nadan tha..  par galti ki saza ab bhut zaruri hai..!

Tere milne ki umeed pe jiye jaa rahe hain...
ab to aaja ke zindagi me marna bhi bhut zaruri hai...!!

Tu chala gya yun humhe tanha chhod kar...
tere zakhmo se jyada pyaar ke nishaan abhi baki hai..!!