Thursday, March 22, 2018

Zindagi Gujaar raha hun....

Gujar raha hun thoda thoda har pal...main is Zindagi ko gujarne ke liye.. 

ye vahi zindagi hai jo kabhi main JIYA karta tha…. 


Badalon ko dekh kar hi ab darr sa jata hai dil…. Jo Kabhi baarishon me khilkhila ke hansa karta tha.. 


Dhundhlaa sa… khamosh sa hai.. .aur najar bhi nahi aata… 

vo sapna jise main kabhi roj khuli aankhon se dekh liya karta tha…


Chup chaap khada rahta hun yaa fir  kabhi ro leta hun....

Zindagi main vahin hun jo bevajah roj gungunaya karta tha…


Likh raha hun apne dil ki daastaan bhut dino baad…aaj shayad so sakun main sari raat...

zindagi tune ye hunar bhi chheen liya humse….!!


Parul Bhatnagar

8th March….2018

No comments:

Post a Comment