Monday, March 1, 2010

Aakhiri Safar …


Zindagi tune kyun sath diya mera jab ek din mooh modna hi tha…
Main khush tha un andheron me akela kahin ..
Tune daaman thama hi kyun jab ek din sath chhodna hi tha….!!
Rona chahun tab bhi ab aansu aate nahi…
Hansna chahun tab bhi lab muskurate nahi….
Main chup khada hun teri raahon me…
Tune khush hona sikhaya hi kyun jab ek din dil todna hi tha…!!

Main tadap raha hun ek pyase panchi ki tarah….
toote sheeshe ki tarah bikhre hain sab sapne.. sab umeeden …
Main khud ko dhundh raha hun unhi tukadon me…..
Khud ko pahchaan nahi pa raha main..itna zakhmi hai wajood mera…
Teri yaadon me bhoola baitha hun khud ko…
bas karta hun subah sham intezaar tera….

Chup si zindagi hai meri… gum sab raaste hain…
Khud ka kuch pata nahi…. Bas yaad teri baaten hain….
Andhera hai har jagah…. Sannate me kahin kho gaye tere sab vaade hain…
Tu dekh ke mera haal ro padega….
Main laash hun ek benaam aur kuch sisakti saanso ki awaajen hain…!!

By - Parul Bhatnagar (1 Mar 10)

1 comment:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete