Tuesday, February 22, 2011


kis ke dar pe main jaaun..
kiske aage main guhaahar lagaun
chahata hun sache dil se bas yahi
ki tujhe main apni mannaton me paaun..

tere bin naa jee paungaa
teri yaadon ko sath leke kahan jaunga....
sochta hun tu naa mila agar....
to apni saason se kaise tujhe mitaunga...

zindagi khel hai agar kismat ka....
to khuda ki kasam tere pyaar k sahare
main apni kismat se khel jaunga....
gar fir bhi na haasil hua tu mujhe......
to main ek yaad bankar gahri neend me so jaunga.....!
kuch dhundh rahi thi ke tum mil gaye..
Fir kuch khwahishen jagi to tum kho gaye..
tanha se the pahle bhi ab aur tanha ho gaye..
na jaane kya talash thi.. fir na jane kya mil gya tha..
na jane kyu main gai thi un raston se... fir na jane kyu vo manjil ban gya tha..
ho gaye hain kai baras bhatakte hue un raaston pe..
manjil nhi..raah nhi.. ab to baaten hain ya yaden hai dard bhari raton me..
intezaar tera nhi hai par fir bhi aankhon ko jane kinki talash hai..
zindagi ko tere se milne ki shayad aj bhi aas hai.

Friday, February 11, 2011

i love u

kis ke dar pe main jaaun..
kiske aage main guhaahar lagaun
chahata hun sache dil se bas yahi
ki tujhe main apni mannaton me paaun..

tere bin naa jee paungaa
teri yaadon ko sath leke kahan jaunga....
sochta hun tu naa mila agar....
to apni saason se kaise tujhe mitaunga...

zindagi khel hai agar kismat ka....
to khuda ki kasam tere pyaar k sahare
main apni kismat se khel jaunga....
gar fir bhi na haasil hua tu mujhe......
to main ek yaad bankar gahri neend me so jaunga.....!

Sunday, January 2, 2011

Random


Tu mujhe jaanta hai.... Main tujhe jaanta hun...
ab yahi kafi hai...Zindagi kaatne ke liye....!!

Thursday, August 19, 2010





Mere dil ki Khamoshi hai jaise koi lambi raat...
Har waqt mujhe yaad aati hai sirf teri yaad...!!
Bhulun bhi to kaise koi sapna to nahi....
Zamane me haal puchne vale to hain bhut...
par unme ab koi apna to nahi...!!
Chup ho jaye sara shahar chahe....
mere zahan ka shor ab rukta hi nahi...!!
Zindagi me meri dhoop bhut hai shayad...
Tabhi aankhon se barsaat ka mausam hat ta hi nahi...!!
Kahan dhundhun ab.... aur kya sametun ...
Toota to tha dil...par koi awaaj thi nahi...!!
Tukde teri yaadon ke sambhaal bhi lun to kya...
Sach kahte hain log...
jo chala jata hai...fir laut kar kabhi aata nahi..!!
Main bhi hun gumshuda.... Manzilen bhi laapata hain...
Teri judaai Ka dil me dard aaj bhi bepanaah hai...............!!

- Parul Bhatnagar ( 19-Aug-10)



Monday, April 12, 2010




jo gire hain toot ke shaakh se......unse poocho bichhadna hota kya hai...
Toote hain jinke khwaab kaanch ki tarah... unse poocho Bikharna hota kya hai....
Jo roye hain raat bhar kisi ki yaadon se lipatkar.... unse poocho tadapna hota kya hai....
Jo Zinda hain kisi ke laut aane ki aas pe..... unse poocho ki intezaar hota kya hai....!!

jo chupp hain sadiyon se sannate ki tarah... unse poocho Khamoshi hoti kya hai....
Saaya bhi jinke sath nahi ... unse poocho tanhai hoti kya hai.....
Rishton ka naam sunke jo ro pade... unse poocho Vishwaas hota kya hai....
jo dard me bhi muskura de uski khushi dekh ke... usse poocho mohabbat hoti kya hai...!!

- Parul Bhatnagar ( 12-Apr-10)

Monday, March 1, 2010

Aakhiri Safar …


Zindagi tune kyun sath diya mera jab ek din mooh modna hi tha…
Main khush tha un andheron me akela kahin ..
Tune daaman thama hi kyun jab ek din sath chhodna hi tha….!!
Rona chahun tab bhi ab aansu aate nahi…
Hansna chahun tab bhi lab muskurate nahi….
Main chup khada hun teri raahon me…
Tune khush hona sikhaya hi kyun jab ek din dil todna hi tha…!!

Main tadap raha hun ek pyase panchi ki tarah….
toote sheeshe ki tarah bikhre hain sab sapne.. sab umeeden …
Main khud ko dhundh raha hun unhi tukadon me…..
Khud ko pahchaan nahi pa raha main..itna zakhmi hai wajood mera…
Teri yaadon me bhoola baitha hun khud ko…
bas karta hun subah sham intezaar tera….

Chup si zindagi hai meri… gum sab raaste hain…
Khud ka kuch pata nahi…. Bas yaad teri baaten hain….
Andhera hai har jagah…. Sannate me kahin kho gaye tere sab vaade hain…
Tu dekh ke mera haal ro padega….
Main laash hun ek benaam aur kuch sisakti saanso ki awaajen hain…!!

By - Parul Bhatnagar (1 Mar 10)