Wednesday, July 22, 2009

For a Friend


“In my Life I can Feel Your Presence …
Your Laughter …Your Smile….& Your Happiness…..
are my Life ‘s Essence ..!!
You Make me understand what is wrong & what to Choose…
You show me the Rainbow when life was full of blues…!!
Dear Friend whenever in life’s journey you feel lonely & Eye shed a tear …
Always Remember A Friend is Still here to Share…!!
So my buddy today I am counting you as one of my Blessing of Life…
I promise to be with you till ma last day of Life…!! “

By – Parul ( 14 July 09)

Wednesday, June 10, 2009


Teri aankhon ne khwaab dekhna Sikhaya...
Teri baaton ne Khush hona Sikhaya...
Teri Chahat ne mujhe Jeena Sikhaya...
Fir teri Khamoshi ne Gumon ka raasta dikhaya..!!

Aasman ko chhute Parindo ne Honsla rakhna sikhaya..
Ruke hue saagar ne mujhe thamna Sikhaya...!!

Bahaaron ne mujhe Muskurana Sikhaya...
Pahadon ne mujhe shaant rahna Sikhaya..!!

Taaron ne mujhe Chamkna Sikhaya..
Raat ne fir Khamosh hona Sikhaya..!!

Mausamon ne mujhe Badalna sikhaya...
Baarishon ne mujhe gir kar bikharna Sikhaya..!!

Pani ne mujhe bahte rahna sikhaya...
Zindagi ne mujhe har mod par Samjhota karna Sikhaya..!!

- Parul

Sunday, May 3, 2009

KAASH.............!!




Bahut waqt guzra… bahut kuch badla… par jaane kyun aaj bhi yahi gumaan hota hai….
Tu jo KASH yahan hota…

Mere Ghar ke aangan me roj dhoop hi hoti hai...
KASH ek roj tu aata to hansi Shaam bhi aati…
Tu jo gaa deta to shayad baadal bhi garjte….
Tu hans deta to meri Baarish bhi hoti…!!

Chup chaap baithen hai sadiyon se ..
mere ghar ke aangan me ye saare mausam….
inko bhi sirf TERA hi intezaar hai….
Jane kis umeed par raah dekhe hain teri…
Shayad kuch meri tarah ye bhi PAGAL hain..!!

Zindagi veeran si lagti hai…
Bhut kuch hai mere aas paas fir bhi
ab Meri parchhai mujhe anjaan si lagti hai…!!

Ek saya tha jo aksar sath chalta tha…
Tab raaste bhi roshan hua karte the…
Thoda dard ,kuch dhundhli yaaden
Chand siskate hue khwaab…aur aansu se bheege kuch lamhe
bas Mujhko meri ab yahi pahchaan si lagti hai..!!

khud se poochun to koi Jawaab nahi milta….
Gaur se Dekhun to kahin koi Sawaal nahi milta…
Tera dard bhi ab khushi deta hai..
Kya Karen teri yaadon k siva humko kahin ab araam nahi milta..!!


Ajeeb hai zindagi ka Kissa…. saamne hai manjil…
Magar baaki abhi poori KAHANI hai…!!
Tu likha nahi hai in hathon ki lakeeron me
Magar zindagi me …zindagi ki TALAASH ab bhi zari hai…!!


- By – Parul Bhaatnagar …!!
(3rd May 09 , 8:25 pm)


Saturday, May 2, 2009




“Jate hain jidhar sabhi…..
Main udhar kyun nahi jata….??

Milta hun jisse Roj band aankhon me…
Khuli aankhon se use Dhoondh kyun nahi pata..!!

Dekhta hun darwaje pe har waqt main…
Vo koi khushi leke mere paas kyun nahi aata ??

Rootha hun is zamane se sadiyon se main…
Vo ek hansi deke mujhko mana kyun nahi jata….???


Zindagi bojh si lagti hai ab to mujhe….
Vo khud aake mujhe dafna kyun nahi jata…??



By – parul bhatnagar



“Ab ke mila vo kuch is tarah mujhse….
Jhootha sa laga uska fir aana aise….
Ajnabi ki tarah poocha usne mera haal….
Maine bola Zinda hun…jaise ek Laash….!!
Kat rahi hai zindagi…lambhi ho jaye jaise ek tanha raat….!!
Waqt gujarta hai …teri yaadon me har din raat….
Marne ki khwahish karte hain hum….har saans ke saath…!!
Jhoothi tasalliyon me humne jeena ab diya hai chhod….
Ajnabi sa lagne laga hai zindagi ka har mod….!!

Sab sunke fir kaha usne…. Ab to samajh jao..
Yahi zindagi hai….isi ko jeena hai……!!

Maine kaha….ye zindagi hai to fir marna kya hai???”

- by parul Bhatnagar – 10 feb 2008



Lash hun main …ab jala bhi dalo…
Yahi aakhri rasam bachi hai use nibha dalo….!!
Na honge hum fir…na humari yaadein….
Vo sare lamhe..sare manjar aaj meri rakh me mila dalo….!!
Maar to diya tha bhut pahle zindagi ne humko…
Aaj mere sapno , meri khwahishon ko bhi mere sang jala dalo….!!
Ab yahi aakhri rasam bachi hai use nibha dalo……!!


By – Parul Bhatnagar



Jab dekha to pahchaan nahi paaya..
Apni parchhai ko jab khud se door khada paaya….

Main khada raha chup-chaap magar wajood hil gya…
Awaaj na hui magar zindagi ka sabse haseen khwaab Bikhar gaya….

Jab aankhen band kari tab usi rishtey ke tukdon ki chuban mahsoos kari…
Par fir bhi Humne har saans ke sath tujhko fir pane ki dua kari…

Waqt badla har manjar badla…
Kayamat to thi ke tu bhi apni har baat se badla….

Jo na badla vo tha MAIN…
Aur
Jo na badlega kabhi vo hoga –
"Tere laut aane ka nakaam INTEZAAR"

- Parul Bhatnagar (24 april 08)