Monday, April 12, 2010




jo gire hain toot ke shaakh se......unse poocho bichhadna hota kya hai...
Toote hain jinke khwaab kaanch ki tarah... unse poocho Bikharna hota kya hai....
Jo roye hain raat bhar kisi ki yaadon se lipatkar.... unse poocho tadapna hota kya hai....
Jo Zinda hain kisi ke laut aane ki aas pe..... unse poocho ki intezaar hota kya hai....!!

jo chupp hain sadiyon se sannate ki tarah... unse poocho Khamoshi hoti kya hai....
Saaya bhi jinke sath nahi ... unse poocho tanhai hoti kya hai.....
Rishton ka naam sunke jo ro pade... unse poocho Vishwaas hota kya hai....
jo dard me bhi muskura de uski khushi dekh ke... usse poocho mohabbat hoti kya hai...!!

- Parul Bhatnagar ( 12-Apr-10)

Monday, March 1, 2010

Aakhiri Safar …


Zindagi tune kyun sath diya mera jab ek din mooh modna hi tha…
Main khush tha un andheron me akela kahin ..
Tune daaman thama hi kyun jab ek din sath chhodna hi tha….!!
Rona chahun tab bhi ab aansu aate nahi…
Hansna chahun tab bhi lab muskurate nahi….
Main chup khada hun teri raahon me…
Tune khush hona sikhaya hi kyun jab ek din dil todna hi tha…!!

Main tadap raha hun ek pyase panchi ki tarah….
toote sheeshe ki tarah bikhre hain sab sapne.. sab umeeden …
Main khud ko dhundh raha hun unhi tukadon me…..
Khud ko pahchaan nahi pa raha main..itna zakhmi hai wajood mera…
Teri yaadon me bhoola baitha hun khud ko…
bas karta hun subah sham intezaar tera….

Chup si zindagi hai meri… gum sab raaste hain…
Khud ka kuch pata nahi…. Bas yaad teri baaten hain….
Andhera hai har jagah…. Sannate me kahin kho gaye tere sab vaade hain…
Tu dekh ke mera haal ro padega….
Main laash hun ek benaam aur kuch sisakti saanso ki awaajen hain…!!

By - Parul Bhatnagar (1 Mar 10)

Saturday, January 16, 2010

Anjaane log the… Anjaane raaste…




Anjaane log the… Anjaane raaste…
Sochta hun ..jee raha hun.. jane kiske vaaste …!!

Sab purane chehron par naye naqaab hain…
Khud ko dhund pana bhi nahi yahan asaan hai…!!

Kaun tha…kyun vo mere sath tha…..
Ye koi sawaal nahi … meri uljhi zindaki ka ek ajeeb jawaab hai…!!

Pahchan ne me bhool hui…jaanne me der lagi.. aur Samjhne me umar gujari…
Par vo Jawaab ..aaj bhi mere liye unsuljha Sawaal hai..!!

Kai manjar gujre… waqt badla… kai rishtey badle…
Par Dard aaj bhi dil ke kisi kone me jawaan hai…!!

Saansen rukti hain…. Annkhen Chhalakti hain….
Jab sochta hun main tere bare me…
hun Lachaar main…. Kuch nahi mere bas mein…
Majhdhaar me rahegi meri kashti… Nahi pahunchegi kabhi kinare pe…!!

Anjaane log the… Anjaane raaste…
Sochta hun ..jee raha hun.. jane kiske vaaste …!!


- Parul Bhatnagar ( 16 January 2010)

Monday, November 16, 2009



Tu hi tha Takdeer…. Tu hi to tha Pahchaan meri….
Tu jo gaya , sab mit gaya , Tu nahi to kuch bhi nahi…..
Bheege Sapne … Sookhi yaaden hain banjar dil me ab mehman meri…!!

Manjil laapta hai …. Sab khwaab So gaye hain….
Tere sang jin raaston pe chala tha…. Vo raaste jane kahan kho gaye hain…!!

Sochta hun kya kho diya tha us ek lamhe me …
Ke zindagi bahut berang nazar aati hai….
Tanha bhatak raha hun…. logon ki bheed me…..
Vo raat teri judaai ki…. Aaj bhi aankhon ko chalka jati hai…!!

Pyaar bhut hai mujhe tumse …Kaise tujhko Samjhaun…
Bas raat din yahi sochta hun…..
Magar jaanta hun anjaam…shayad tabhi Zindagi jeene se darta hun…!!

Kash ke mere aansuon ka dard tu samjh pata….
Kitni bojhal hain saanse…ye ehsaas main tujhe kabhi dila pata….!!

Alfaaz nahi milte…aur shabad bhi kam pad jate hain…..
Is dard ko bayan karne ke liye ..
Aakhir me sirf Aansu hi rah jate hain…!!

Tanhaai me tere saaye se poochta hun aksar….
Andheron mein apne sawaalon ke jawab dhundhta hun main aksar…
Kya Gunaah tha mera ..jiski saja ye thi….
Maine to teri Judaai se pahle…Apni Maut ki Dua ki thi…!!

Zindagi me ab kuch khone ko nahi raha siva Zindagi ke….
Tu hi to tha jise manga maine apni har bandagi mein….
Par jo mango …vo mila kisko kab hai…..
Annkhen pahle bhi Namm thi….aur aaj bhi namm hain….!!

- Parul Bhatnagar (16 Nov-09)

Monday, October 26, 2009




Naa Bikhar Sake ...Na Simat Sake...
Toot kar Chhaha Tujhe kuch is tarah ...
ke fir kabhi jud na sake....!!

Ye dil jane aaj fir kyun ro Diya...
Khali hath the mere....
jane aaj isne..kisko paane se pahle Kho Diya...!!

In Bheeghi Palkon me kuch toote khwabon ki yaaden hain....
Tum humko kabhi na miloge...hum dil ko ye roj samjhate hain...!!

Zinda to nahi hun ..par saasen abhi chal rahi hain..
Tere bin zindagi meri bas din gin rahi hai....!!

Tere Sang jee na sake to kya hua ...
Teri yaadon ke sang marr to rahe hain....!!
Tujh kho kar lag raha hai... hum apni zindagi kho rahe hain...!!


- Parul Bhatnagar (26 Oct-09)

Monday, October 12, 2009

Darr Lagta hai...!!




Rone se nahi ab Dil… hansne se darta hai…!!
Kisi ko khone se nahi….. Dil uske laut aane se darta hai….!!
Tanhaaiyon ki to aadat hai… Humko to mahfilon ki Bheed se darr lagta hai…!!
Raat ki khaamoshiyon me bhi karte hain usse baaten…. Itne sannate me koi awaaj na dede …ki darr lagta hai..!!
Vo pyaar tha mera jisne itne zakham diye… Un zakhmon pe koi marham na laga jaye darr lagta hai…!!
Tere jane ka ghum nahi humko….dil ko ab is dard ke bichadd jane se darr lagta hai..!!
Ghum nahi ki koi mila nahi is jahan me apna….ye mera saya bhi ab sath na chhod jaye ..is baat se darr lagta hai..!!
Kisi ne toda tha bahut zor se gira kar…. Un tukadon ko koi aakar samet na le….ke Darr lagta hai…!!

- Parul Bharnagar ( oct 12 -09)

Sunday, September 6, 2009





kal mila tha safar me ek ajnabi yun hi ....
jana to tha vahin jahan manjil thi meri...
fir na jane kyun beech raah me utar gya vo.....
kuch leke to na gya sang apne....
par kuch bhool gya hai paas mere....
shayad kuch lamhe hain vo.... kuch kahe to kuch unkahe hain vo...
kuch bhooli bisri yaadein hain... kuch pyaar bhari baaten hain....!!
kuch sapne hain jo dekhe the usne kisi aur ki aankhon se...
kuch kahaniyan jo sonata tha vo mujhe anjaan raston pe …..
aansu hain jo gire the mere daaman pe uski aankhon se chalak kar….
Vo khushbu hai saanson me…jo di thi usne gale mil kar….
Kuch ruswaiyaan thi uski ….. kuch shikayaten thi meri…
Kuch vaade the uske… Kuch Mannaten thi meri…!!
Sab yahin chhod gya hai….. Jane vo kyun mujhse mooh mod gya hai…
jane kaisa hoga vo in sab ke bina…
Shayad adhura sa… ya fir akela tanha….
Musafir tha kashti ka…. Kinara dekh kar utar gya….
Ab raah takna bhi shayad theek nahi ….
Koi vada thode hi kiya tha usne lautne ka…!!
Par shayad mujhpar uska karj baki hai abhi….
Isliy seene me bhi dard baki hai abhi…………………!!

- By - Parul Bhatnagar ( Sep 6, 09)